Labels

Tuesday, July 17, 2012

A Journal of Poetry.



Hai dard me duba har insaan,
Waqt ne kiya hai sabko badnaam.


Har kisi ke naseeb me nahin hota paana,
Un pankh ki unchi udaan.


Umeed to bahut hain duniya me,
Jeene ko.. kuch kar dikhane ko,
Par mukammal hoti hain khwahishe chand kushnasibo ko.


Ye kasoor ho unke kismat ka,
Ya karam ka ho phal....


Log aate to hai is zami pe,
Par gumnaami ke andheron me kho jaate hain,
Pehchan vahi bana paate hain,
Jinpar hota khuda meharbaan.


Kyunki is zindagi ko jeena har kisi ke liye,
Hain nahin asaan....


-Shweta Rajvanshi (A Journal of Poetry)


###

Ek koshish..



Ek koshish hai ye sach dikhaane ki,
taaki aankhe band hote hue bhi hum andhe bankar na rahen.
ye jataane ki,
ki is duniyan ke chaka-chaundh me unka astitva kahin gum na ho jaayen.
ye sunaane ki,
ki in hassi ke shor me kahi vo siskiyan kono me ansuni na reh jaayen.


Umar ke is nazuk padav pe,
un dabe armaano ki...
kho chuke uljhe rishton me,
un zindagi ke jasbaaton ki...
ek baar fir waqt ko thaam ke,
khule aasman me udne ki...


Yaad dilaane ki, hai ye ek koshish!
kyunki apni zimmedariyon se muh feerte hue vo ghar ke chiraag,
na jaane kitne aaye aur chale gaye,
unke vajood ka udaa ke mazak.

Zinhone zindagi bhar un taaron ko,
apne seene se laga kar rakh-kha,


Mauka aane par,
unhi aankhon ke taaron ne chura liya apno se peecha.



-Shweta Rajvanshi (A Journal of Poetry)


###

Jaane kyun?

Jaane kyu aajkal ek bechaini si rehti hain,
Jo mera ho nahin sakta...
Usse paane ki chahat si rehti hain.
Najaane har waqt kuch darr sa lagta hain,
kahin door jake rone ka man karta hain.
kahin kuch khaali sa hain,
Jo bharta nahin...
Ek dard jaane kiska,
Jo kam hota nahin...
Suna hain waqt hi sabse bada marham hota hain,
Phir aisi kya baat hain, ki ye mujhpe asar karta nahin.

-Shweta Rajvanshi 
(A Journal of Poetry)



###

Ud jaane do!

Us din ko dhal jaane do,
Un hassi raaston ko guzar jaane do.

Jin galiyon ne kabhi apnaya na tha,
Un yaadon ka na poochon pata.

In ashkon me dube hue lafzon ke sahi,
Ya khamoshi me sisakti hui aahon ke sahi.



Jo nasha kisiko kho ke jeene me hain,
Jo dhua chand hassraton ko na paane ki jalan me hain.


Ud jaane do!
Ud jaane do, unhe hawaa me....
Sunsaan raahon me nikal jaane do!


-Shweta Rajvanshi  (A Journal of Poetry)

###