Ek koshish hai ye sach dikhaane ki,
taaki aankhe band hote hue bhi hum andhe bankar na rahen.
ye jataane ki,
ki is duniyan ke chaka-chaundh me unka astitva kahin gum na ho jaayen.
ye sunaane ki,
ki in hassi ke shor me kahi vo siskiyan kono me ansuni na reh jaayen.
Umar ke is nazuk padav pe,
un dabe armaano ki...
kho chuke uljhe rishton me,
un zindagi ke jasbaaton ki...
ek baar fir waqt ko thaam ke,
khule aasman me udne ki...
na jaane kitne aaye aur chale gaye,
unke vajood ka udaa ke mazak.
Zinhone zindagi bhar un taaron ko,
apne seene se laga kar rakh-kha,
Mauka aane par,
unhi aankhon ke taaron ne chura liya apno se peecha.
-Shweta Rajvanshi (A Journal of Poetry)
###
No comments:
Post a Comment